Movie: Kabhie Kabhie (1975) Poetry: Sahir Ludhiyanvi Rendered by: Amitabh Bachchan कभी कभी मेरे दिल में ख्याल आता है कि ज़िंदगी तेरी जुल्फों की नर्म छांव में गुजरने पाती तो शादाब हो भी सकती थी। Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaaon mein guzarne paati to shaadaab ho bhi sakti thi. Sometimes, there is this thought in my heart, that, had life passed in the soft shade of your hair, it could have been delightful. ये रंज-ओ-ग़म की सियाही जो दिल पे छाई है तेरी नज़र की शुआओं में खो भी सकती थी। Ye ranj-o-gham ki siyaahi jo dil pe chhaayi hai Teri nazar ki shuaaon main kho bhi sakti thi. This ink of sorrow and grief that is spread on the heart, it could have been lost in the rays of your eyes. मगर ये हो न सका और अब ये आलम है कि तू नहीं, तेरा ग़म, तेरी जुस्तजू भी नहीं। Magar ye ho na sakaa, aur ab ye aalam hai Ki tu nahin, tera gham, teri justjoo bhi nahin. But it couldn't happen, and now such is the scenario, that you aren't there, sorrow of losing you, wish to get you aren't there either.
Top Pages